Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

tufan nazar mein hai na kinara nazar mein hai

Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

tūfāñ nazar meñ hai na kinārā nazar meñ hai
ik azm-e-mo'atabar kā sahārā nazar meñ hai
vo din ga.e ki tīrgī-e-shab kā thā malāl
ab jalva-e-sahar kā nazārā nazar meñ hai
husn-e-numūd-e-sub.h kā allāh re kamāl
bahtā huā vo nuur kā dhārā nazar meñ hai
kuchh zauq par garāñ to na thā husn-e-kā.enāt
kyā kījiye ki husn tumhārā nazar meñ hai
dil ko luTe hue to zamāna huā magar
ab bhī kisī nazar kā ishārā nazar meñ hai
uf DabDabātī aañkh se girtā huā vo ashk
ab tak vo Dūbtā huā taarā nazar meñ hai
vo be-ruḳhī se dekhte haiñ dekhte to haiñ
'manshā' maqām kuchh to hamārā nazar meñ hai
Top Urdushayar.com