ham ne maanā hameñ barbād karegī duniyā
kar ke barbād magar yaad karegī duniyā
jab use zulm-o-sitam hī meñ maza aatā hai
kisī nāshād ko kyā shaad karegī duniyā
dekhnā ye hai ki ham ahl-e-junūñ par kab tak
nit na.e tarz kī bedād karegī duniyā
aaj tū apnī karāmāt pe itrātī hai
kal magar aap hī fariyād karegī duniyā
dushmanī hai use arbāb-e-vafā se lekin
ye na hoñge to inheñ yaad karegī duniyā
nahīñ ma.alūm yūñhī ḳhud ko kahāñ tak 'manshā'
qaid-e-aḳhlāq se āzād karegī duniyā