Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

ashk-e-gham shorish-e-pinhan ki KHabar dete hain

Mohammad Mansha ur Rahman Khan Mansha

ashk-e-ġham shorish-e-pinhāñ kī ḳhabar dete haiñ
ye vo qatre haiñ jo tūfāñ kī ḳhabar dete haiñ
qalb-e-sozāñ meñ shab-o-roz machalte jazbāt
garmī-e-shauq-e-farāvāñ kī ḳhabar dete haiñ
in sisakte hue ġhunchoñ ko hiqārat se na dekh
ye tujhe nazm-e-gulistāñ kī ḳhabar dete haiñ
tere mai-ḳhāne ke dam toḌte aa.eñ saaqī
kisī taġh.īr-e-numāyāñ kī ḳhabar dete haiñ
vo ufuq par jo ujāle se nazar aate haiñ
āmad-e-sub.h-e-daraḳhshāñ kī ḳhabar dete haiñ
sehn-e-gulshan meñ ba-har-ān badalte hue rañg
ik na.e daur-e-bahārāñ kī ḳhabar dete haiñ
haq to ye hai ki ḳhalāoñ ke safar ai 'manshā'
azmat-e-rutba-e-insāñ kī ḳhabar dete haiñ
Top Urdushayar.com