ujāloñ ko añdheroñ se bachānā paḌ gayā hai
ajab yak-tarfa mushkil meñ zamāna paḌ gayā hai
zamīñ kā dosh kaisā kam-nigāhī se hamārī
parindoñ ko yahāñ kam āb-o-dāna paḌ gayā hai
tahaffuz kī lakīreñ khīñch kar baiThe the ham log
par ab dīvār ik ūñchī uThānā paḌ gayā hai
kahā thā maiñ ne kho kar bhī tujhe zinda rahūñgā
vo aisā jhuuT thā jis ko nibhānā paḌ gayā hai
haqīqat ko tamāshā se judā karne kī ḳhātir
uThā kar bārhā parda girānā paḌ gayā hai
'shahāb' itnī havā.eñ ho ga.iiñ haiñ zahr-ālūd
ki ḳhud sāñsoñ se apnī muñh churānā paḌ gayā hai