Zeeshan Athar

dil dhuan dene lage aankh pighalne lag jae

Zeeshan Athar

dil dhuāñ dene lage aañkh pighalne lag jaa.e
tum jise dekh lo ik baar vo jalne lag jaa.e
raqs kartī haiñ ka.ī raushniyāñ kamre meñ
us kā chehra na kahīñ rañg badalne lag jaa.e
tez-tez-raftāri-e- na badal de me.aar
shaam ke saath kahīñ umr na Dhalne lag jaa.e
raushnī meñ tirī raftār se kartā huuñ safar
zindagī mujh se kahīñ tez na chalne lag jaa.e
ristā paanī bhī ġhanīmat hai vo din duur nahīñ
rauzan-e-chashm se jab ret nikalne lag jaa.e
reg-e-sahrā hai tire jism ke sone kī misāl
aañkh phisle to kabhī paañv phisalne lag jaa.e
shāḳh-e-dil kaaT ke miTTī meñ dabā dī ham ne
kaash aisā ho ki ye phūlne-phalne lag jaa.e
ham bhī hañgāma-e-bāzār-e-jahāñ se guzre
jaise 'zīshān' koī niiñd meñ chalne lag jaa.e
Top Urdushayar.com