Naseer Koti

jo kisi par na hua ho wo sitam ho to kaho

Naseer Koti

jo kisī par na huā ho vo sitam ho to kaho
ab nirālā koī afsāna-e-ġham ho to kaho
rahnumā jab na mirā naqsh-e-qadam ho to kaho
merī raftār kahīñ raah meñ kam ho to kaho
sharh-e-andoh-e-mohabbat pe tabassum kaisā
ye koī zāviya-e-lutf-o-karam ho to kaho
har jafā ġham hai mire zarf kī pahnā.ī meñ
mere hoñToñ pe kabhī zikr-e-sitam ho to kaho
maiñ ne har zaḳhm-e-bahārāñ ko chhupā rakkhā hai
mujh se majrūh gulistāñ kā bharam ho to kaho
un kī taḳhlīq alag aur mirī fikr judā
un kā merā koī andāz baham ho to kaho
likh rahā hai koī pur-kaif ġhazal aaj 'nasīr'
bad-numā lafz koī zer-e-qalam ho to kaho
Top Urdushayar.com