bhaTak rahe haiñ bhaTakte raheñge farzāne
qarīb aa ga.e manzil ke tere dīvāne
bahut qarīb the jalve unheñ na pahchāne
kahāñ gayā thā shu.ūr-e-nazar ḳhudā jaane
zabāñ pe harf-e-tamannā na aa.e kyā parvā
simaT ke aa ga.e nazroñ meñ dil ke vīrāne
huzūr-e-husn jo aa.e haiñ bahr-e-arz murād
unheñ sunāo mirī ḳhāmushī ke afsāne
guzar ga.ī mirī rūdād-e-ġham meñ raat tamām
phir us ke ba.ad na sham.eñ jalīñ na parvāne
talāsh-e-kūcha-e-jānāñ are ma.āz-allāh
ḳhud apnī gard meñ kho.e hue haiñ dīvāne
'nasīr' un kī samajh meñ bhī kuchh nahīñ aayā
jo aa rahe haiñ mujhe rāz-e-ishq samjhāne