kalī kalī ko diyā bāġhbāñ lahū ham ne
kiyā hai tujh ko gulistāñ meñ surḳh-rū ham ne
ḳhudā ke vāste us be-vafā kā naam na lo
kiyā hai chāk-e-garebāñ abhī rafū ham ne
ḳhizāñ ke daaġh miTe kab guloñ ke dāman se
tujhe bhī dekh liyā mausam-e-numū ham ne
ḳhamosh rah ke tire tund-o-talḳh lahje par
badal diyā tirā andāz-e-guftugū ham ne
chaman kā rañg nikhartā hai jis ke partav se
bikher dī vo tajallī bhī chār-sū ham ne
samajh na paa.e vo ab tak qubūl-o-rad kaisā
ajiib rañg meñ kī sharh-e-ārzū ham ne
'nasīr' ḳhaam hai ab bhī ḳhayāl tauba kā
fuzūl toḌ diye sāġhar-o-subū ham ne