tabāh kar ke har ik naqsh-e-jism-o-jāñ ham ne
banā diyā hai mohabbat ko jāvedāñ ham ne
ġhalat-ravī pe tirī tabsira muhāl na thā
tirā lihāz kiyā mīr-e-kārvāñ ham ne
hamāre dīda-e-be-āb ko na ta.ane do
luTā diyā hai sitāroñ kā ik jahāñ ham ne
haTī haTī se tavajjoh ye ahl-e-mahfil kī
badal diyā hai kahīñ rañg-e-dāstāñ ham ne
sitam kiye haiñ bahut dil pe ye haqīqat hai
ayaañ na kar ke vafūr-e-ġham-e-nihāñ ham ne
na-jāne rāz-e-mohabbat kā hashr kyā hogā
banā liye haiñ ka.ī apne rāz-dāñ ham ne
nigāh sirf tahayyur havās vārafta
liyā thā jazb-e-mohabbat kā imtihāñ ham ne
na jaane kaun sī aafat 'nasīr' ho nāzil
agar chaman meñ kiyā zikr-e-āshiyāñ ham ne