har tajraba shikār-e-fareb-e-nazar huā
kin zulmatoñ pe aah gumān-e-sahar huā
kis kis adā se aaj koī jalva-gar huā
aayā nazar ko hosh to dil be-ḳhabar huā
ai rahnumā jasārat-e-rahzan kī daad de
jo hādisa huā vo sar-e-rahguzar huā
hai āfrīñ jo hañste nahīñ haiñ tamām-umr
ham se to ek din bhī na ġham kā basar huā
pahle to arz-e-ġham kī ijāzat na deñge vo
vaqfa bahut qalīl sā hogā agar huā
rakkhī thī jis pe terā nasheman bahār meñ
kyā iltifāt-e-barq isī shāḳh par huā
ye pūchhnā abas hai dil-e-ḳhush-ḳhayāl se
ābād ham hue haiñ ki barbād ghar huā