Naseer Koti

farogh-e-zulmat-e-shab tak hi jagmagaenge

Naseer Koti

faroġh-e-zulmat-e-shab tak hī jagmagā.eñge
sahar huī to sitāre nazar na ā.eñge
davām sirf haqīqat ko hai zamāne meñ
jo dāstāñ hai use log bhuul jā.eñge
bhaTak rahe haiñ jo manzil kī justujū meñ abhī
vahī safar ke na.e zāviye banā.eñge
harīf-e-mauj-o-talātum hoñ sab ye nā-mumkin
nahīf haiñ jo safīne vo Duub jā.eñge
hamāre zehn abhī itne nukta-ras haiñ kahāñ
tirī nazar ke ishāre samajh na pā.eñge
jafā se un kī jo tartīb pā rahī hai abhī
vo dāstāñ bhī sar-e-anjuman sunā.eñge
'nasīr' tark-e-ta.alluq hī un se behtar hai
vafā ke naam pe kab tak fareb khā.eñge
Top Urdushayar.com