achchhā mujhe kartā hai maiñ achchhā nahīñ hotā
phir aisā masīhā to masīhā nahīñ hotā
qismat kā dhanī thā maiñ tabhī jiit lī baazī
aisā nahīñ hotā jo maiñ aisā nahīñ hotā
vo chaak garebāñ mirā logoñ ko dikhāte
siitā hai magar suuī meñ dhāga nahīñ hotā
chehre pe har ik din ke likhī jaatī hai taqdīr
sūraj kā nikalnā hī saverā nahīñ hotā
logoñ ne 'shahāb' aise diye mujh meñ jalā.e
ab mujh ko nazar kā koī dhokā nahīñ hotā