Naseer Koti

tu KHud kahan hai qafila-e-salar dekhna

Naseer Koti

tū ḳhud kahāñ hai qāfila-e-sālār dekhnā
ab ham kahāñ haiñ ālam-e-raftār dekhnā
ham chal paḌe haiñ manzil-e-maqsūd ke liye
ab sañg dekhnā hai na dīvār dekhnā
taz.īn-e-gulsitāñ se nahīñ vāsta jinheñ
un ke gharoñ meñ phuul ke ambār dekhnā
jab izn-e-arz-e-hāl diyā hai to chup raho
ab nāravā hai talḳhī-e-guftār dekhnā
ai bāġhbāñ na dekh hiqārat se is tarah
jab ham na hoñ to ālam-e-gulzār dekhnā
aa.e to koī mārka-e-hashr sāmne
ahl-e-junūñ kā jazba-e-īsār dekhnā
adnā samajh rahe ho hamārī bisāt ko
yaaro sabāt-e-azm sar-e-dār dekhnā
sau baar maiñ ne un ko pukārā hai ai 'nasīr'
guzrā bahut garāñ unheñ ik baar dekhnā
Top Urdushayar.com