Naseer Koti

KHusha ye zarf ki honTon pe hai tabassum bhi

Naseer Koti

ḳhushā ye zarf ki hoñToñ pe hai tabassum bhī
liye hue haiñ tah-e-chashm sail-e-qulzum bhī
ye inqalāb-e-mohabbat ye ijtināb tirā
hai nāgavār nigāhoñ kā ik tasādum bhī
usī chaman meñ haiñ aise hazār-hā ġhunche
nasīb ho na sakā jin ko ik tabassum bhī
ye kyā zarūr ki us ne kiyā ho yaad magar
kabhī kabhī to maza de gayā tavahhum bhī
hai tarjumān-e-ġham-e-dil ḳhamoshī-e-paiham
sunā rahā huuñ unheñ hāl-e-be-takallum bhī
shanāvarī pe jinheñ naaz thā vo Duub ga.e
mire liye to sahārā banā talātum bhī
sunā rahe ho kise dāstān-e-ġham āḳhir
'nasīr' Duub ga.e ab to māh-o-anjum bhī
Top Urdushayar.com