samajh rahe the ki ab shab ga.ī sahar aa.ī
tire dayār meñ vo raushnī nazar aa.ī
nishāt-o-ġham kā ta.alluq bhī kyā ta.alluq hai
abhī hañse bhī na the ham ki aañkh bhar aa.ī
manā rahe haiñ manānā thā jin ko jashn-e-bahār
mire nasīb meñ taz.īn-e-bām-o-dar aa.ī
ye aur baat ki sab kuchh kahā ho sach tū ne
mujhe hañsī to tirī baat baat par aa.ī
kamāl hai ye tasavvur kī mashq-e-paiham kā
tire hijāb kī tasvīr bhī utar aa.ī
vasūq-e-azm pe haiñ kāmrāniyāñ mauqūf
ḳhayāl-e-rahguzar aate hī rahguzar aa.ī
balā se ahd-e-bahārāñ ne dil ko zaḳhm diye
'nasīr' sūrat-e-gulzār to nikhar aa.ī