Naseer Koti

jis mein ek husn-e-tawazun ho wo nudrat di jae

Naseer Koti

jis meñ ik husn-e-tavāzun ho vo nudrat dī jaa.e
kyā qabāhat hai agar fikr ko vus.at dī jaa.e
mashvare qābil-e-taslīm tire haiñ ki nahīñ
ġhaur karne ke liye kuchh mujhe mohlat dī jaa.e
maslahat jhuuT pe insān ko maa.il kar de
is qadar saḳht na tā'zīr-e-sadāqat dī jaa.e
is amal se dil-e-fankār pe kyā guzregī
le ke mahtāb agar sham.a kī qīmat dī jaa.e
saḳht mushkil hai ġhalat baat pe qaa.il karnā
ek do hoñ to unheñ fahm-o-basīrat dī jaa.e
baat to jab hai ki mamnūn-e-bahārāñ hoñ sabhī
phuul to phuul haiñ kāñToñ ko bhī nuz.hat dī jaa.e
chāra-e-ġham ke liye shart hai iḳhlās 'nasīr'
kaun hai shahr meñ aisā jise zahmat dī jaa.e
Top Urdushayar.com