Naseer Koti

shikwa-e-gham bhi gaya taqat-e-goyai bhi

Naseer Koti

shikva-e-ġham bhī gayā tāqat-e-goyā.ī bhī
bhuul jaatā huuñ koī baat jo yaad aa.ī bhī
dekhnā bhī nahīñ us samt gavārā un ko
ḳhatm hai silsila-e-hausla-afzā.ī bhī
jab se andāz-e-bahārāñ meñ taġhayyur aayā
miT gayā dil se ḳhayāl-e-chaman-ārī.ī bhī
har taraf bāñg-e-jaras bāñg-e-darā bāñg-e-azāñ
sone vaale haiñ ki lete nahīñ añgḌā.ī bhī
kaun ab ham ko tajallī kī haqīqat samjhā.e
ho ga.e gum tire jalvoñ meñ tamāshā.ī bhī
kitnī mushkil hai kisī sher kī tahlīl 'nasīr'
kitnī dushvār hai ehsās kī gīrā.ī bhī
Top Urdushayar.com