ḳhaam hai merī mohabbat varna ye aalam na ho
vo ḳhalish bhī kyā ḳhalish hai dil meñ jo paiham na ho
rāz-e-sar-basta na khul jaa.e hañsī ke ba.ad bhī
un kī mahfil meñ koī fitrat-shanās-e-ġham na ho
de sake ab tak na dastūr-e-vafā tartīb tum
kyā ruke dīvār jab buniyād mustahkam na ho
jaate jaate bazm-e-ahl-e-ġham pe ho ye bhī karam
aap is andāz se uTheñ ki ye barham na ho
kaun kho.e zarf apnā varna ai pīr-e-muġhāñ
mere sāġhar meñ bhī mai zauq-e-talab se kam na ho
jab bhī aa.e zaḳhm-e-dil ko aur taaza kar ga.e
aise ġham-ḳhvāroñ se behtar hai koī hamdam na ho
is gumāñ ko bhī nazar-andāz kar sakte nahīñ
muntahā-e-irtiqā barbādi-e-ālam na ho