itaab meñ jo tumhāre dahan se nikle haiñ
vo tiir the ki sharāre badan se nikle haiñ
fusūn-e-jalva-garī kā koī asar na huā
ba-qaid-e-hosh tirī anjuman se nikle haiñ
koī maqām-e-amāñ ab nazar nahīñ aatā
bharī bahār meñ sho.ale chaman se nikle haiñ
ġham-e-hayāt ne baḳhshī fasurdagī kaisī
ye aadmī haiñ ki murde kafan se nikle haiñ
na-jāne kab se muqaddar thī dasht-paimā.ī
hazār ḳhaar mire pairahan se nikle haiñ
ye rañg-e-sub.h-e-bahārāñ ye apnī hairānī
ġhazab ḳhudā kā añdhere kiran se nikle haiñ