bazm-e-rañg-o-bū kā huuñ maiñ rāzdāñ tanhā
hai mirī zamīñ tanhā aur āsmāñ tanhā
rahravān-e-manzil hī jab bichhaḌ chuke saare
kyā karegā manzil par mīr-e-kārvāñ tanhā
rahguzar meñ yaksūī anjuman meñ tanhā.ī
ham tire tasavvur meñ the kahāñ kahāñ tanhā
zindagī kī rāheñ ab pur-ḳhatar haiñ is darja
aap chal nahīñ sakte do-qadam yahāñ tanhā
zauq-e-bandagī ho to bandagī ko kaafī haiñ
ik mirī jabīñ tanhā terā āstāñ tanhā
un se hāl-e-dil kahnā ai 'nasīr' lāzim hai
ḳhāmushī nahīñ hotī ġham kī tarjumāñ tanhā