Naseer Koti

na kaliyan muskuraati hain na phulon par nikhaar aae

Naseer Koti

na kaliyāñ muskurātī haiñ na phūloñ par nikhār aa.e
baḌī be-kaifiyoñ ke saath ayyām-e-bahār aa.e
koī qīmat nahīñ aise vafā ke ahd-o-paimāñ kī
mujhe jis par yaqīñ aa.e na un ko e'tibār aa.e
jahāñ ke chappe chappe par gumāñ hotā thā manzil kā
mirī manzil meñ aise marhale bhī be-shumār aa.e
haqīqat us ke dil se pūchhiye jazb-e-mohabbat kī
samajh meñ jis ke mafhūm-e-nigāh-e-sharmsār aa.e
nizām-e-gulsitāñ zarf-e-tamannā se ibārat hai
tire dāman meñ phuul aa.e mire dāman meñ ḳhaar aa.e
marīz-e-ġham ke lab par naam un kā baar baar aayā
phir us ke ba.ad chārasāz aa.e ġham-gusār aa.e
'nasīr' aayā tavāf-e-kū-e-jānāñ raas kab dil ko
tamannā-e-sukūñ le kar ga.e aur be-qarār aa.e
Top Urdushayar.com