Naseer Koti

sawal shukr-o-shikayat ka ab raha hi nahin

Naseer Koti

savāl shukr-o-shikāyat kā ab rahā hī nahīñ
vo kaj-shi.ār mirī samt dekhtā hī nahīñ
kisī meñ hausla-e-tark-e-mudda.ā hī nahīñ
ye vo mahāz hai jis par koī DaTā hī nahīñ
thamā jo ḳhair se tūfāñ to hai bhañvar aage
mire ḳhilāf samundar bhī hai havā hī nahīñ
vo jis kā ḳhauf gunāhoñ se rok detā hai
hamāre daur meñ aisī koī sazā hī nahīñ
jahāñ se pech-o-ḳham-e-rāh kā huā āġhāz
palaT ke ham ne jo dekhā to rahnumā hī nahīñ
jabīn-e-shauq batā ab kahāñ karūñ sajda
mujhe talāsh thī jis kī vo naqsh-e-pā hī nahīñ
fazā hai dañg samā.at ke us taġhayyur par
koī sadā-e-mohabbat se āshnā hī nahīñ
'nasīr' jā ke tirī anjuman se lauT aayā
gayā thā jis ke irāde se vo kahā hī nahīñ
Top Urdushayar.com