sitāre palkoñ pe jalva-gar the shikast-e-azm-e-fuġhāñ se pahle
ġham-e-nihāñ se zamāna vāqif thā sharh-e-soz-e-nihāñ se pahle
hamārī hī sa.ī-e-justajū ne surāġh-e-manzil diyā jahāñ ko
talāsh-e-manzil meñ ham ravāna hue the har kārvāñ se pahle
pasand aayā na bijliyoñ ko koī jo kartīñ tavāf un kā
mile ka.ī aur bhī nasheman unheñ mire āshiyāñ se pahle
sitam-rasīdoñ kī anjuman meñ chhiḌe haiñ jab zālimoñ ke charche
tumhārā naam aa gayā hai aksar zabān par āsmāñ se pahle
unheñ ye zid hai suneñge merī zabāñ se merā fasāna-e-ġham
maiñ sochtā huuñ fasāna-e-ġham sunā.ūñ bhī to kahāñ se pahle
tumhārī ḳhalvat-kade ke parde uThe hue haiñ durust lekin
chhuḌā to luuñ dāman-e-nazar ko tahayyur-e-be-karāñ se pahle
ġharaz ke bande haiñ ahl-e-ālam nahīñ koī bā-vafā jahāñ meñ
na kījiye faisla abhī ye 'nasīr' ke imtihāñ se pahle