agar ḳhud apne marātib se āshnā ho jaa.e
zarā sī der meñ insān kyā se kyā ho jaa.e
na jaane kitne diloñ se umañD paḌe aañsū
ḳhudā kare ye mirā saaz be-sadā ho jaa.e
kisī kitāb kisī rahnumā kī hājat kyā
har ek naqs agar sher meñ ravā ho jaa.e
ajiib rasm-e-zamāna hai is ko kyā kahiye
jo dūsroñ ko milā.e vahī burā ho jaa.e
dil-o-nigāh mukaddar hoñ jin ke chehre se
hamārā un kā kahīñ phir na sāmnā ho jaa.e
hamāre ghar kī jo dushman banī huī hai abhī
chale havā to pareshāñ yahī ghaTā ho jaa.e
yaqīn-e-lutf-o-karam aap agar dilā.eñ use
'nasīr' halqa-e-auhām se rihā ho jaa.e