ḳhvāb ke rañg dil-o-jāñ meñ sajā.e bhī ga.e
phir vahī rañg ba-sad taur jalā.e bhī ga.e
unhīñ shahroñ ko shitābī se lapeTā bhī gayā
jo ajab shauq-e-farāḳhī se bichhā.e bhī ga.e
bazm shoḳhī kā kisī kī kaheñ kyā hāl-e-jahāñ
dil jalā.e bhī ga.e aur bujhā.e bhī ga.e
pusht miTTī se lagī jis meñ hamārī logo
usī dañggal meñ hameñ daav sikhā.e bhī ga.e
yād-e-ayyām ki ik mahfil-e-jāñ thī ki jahāñ
haath khīñche bhī ga.e aur milā.e bhī ga.e
ham ki jis shahr meñ the sog-nashīn-e-ahvāl
roz is shahr meñ ham dhuum machā.e bhī ga.e
yaad mat rakhiyo ye rūdād hamārī hargiz
ham the vo tāj-mahal 'jaun' jo Dhaa.e bhī ga.e