hamāre zaḳhm-e-tamannā purāne ho ga.e haiñ
ki us galī meñ ga.e ab zamāne ho ga.e haiñ
tum apne chāhne vāloñ kī baat mat suniyo
tumhāre chāhne vaale divāne ho ga.e haiñ
vo zulf dhuup meñ furqat kī aa.ī hai jab yaad
to bādal aa.e haiñ aur shāmiyāne ho ga.e haiñ
jo apne taur se ham ne kabhī guzāre the
vo sub.h o shaam to jaise fasāne ho ga.e haiñ
ajab mahak thī mire gul tire shabistāñ kī
so bulbuloñ ke vahāñ āshiyāne ho ga.e haiñ
hamāre ba.ad jo aa.eñ unheñ mubārak ho
jahāñ the kunj vahāñ kār-ḳhāne ho ga.e haiñ