na.e kapḌe badal aur baal banā tire chāhne vaale aur bhī haiñ
koī chhoḌ gayā ye shahr to kyā tire chāhne vaale aur bhī haiñ
ka.ī palkeñ haiñ aur peḌ ka.ī mahfūz hai ThanDak jin kī abhī
kahīñ duur na jā mat ḳhaak uḌā tire chāhne vaale aur bhī haiñ
kahtī hai ye shaam kī narm havā phir mahkegī is ghar kī fazā
nayā kamra sajā na.ī sham.a jalā tire chāhne vaale aur bhī haiñ
ka.ī phūloñ jaise log bhī haiñ inhī aise-vaise logoñ meñ
tū ġhairoñ ke mat naaz uThā tire chāhne vaale aur bhī haiñ
bechain hai kyuuñ ai 'nāsir' tū behāl hai kis kī ḳhātir tū
palkeñ to uThā chehra to dikhā tire chāhne vaale aur bhī haiñ