Jaun Eliya

guftugu jab muhaal ki hogi

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
guftugū jab muhāl kī hogī
baat us kī misāl kī hogī
zindagī hai ḳhayāl kī ik baat
jo kisī be-ḳhayāl kī hogī
thī jo ḳhushbū sabā kī chādar meñ
vo tumhārī hī shaal kī hogī
na samajh pā.eñge vo ahl-e-firāq
jo aziyyat visāl kī hogī
dil pe taarī hai ik kamāl-e-ḳhushī
shāyad apne zavāl kī hogī
jo atā ho visāl-e-jānāñ kī
vo udāsī kamāl kī hogī
aaj kahnā hai dil ko haal apnā
aaj to sab ke haal kī hogī
ho chukā maiñ so fikr yāroñ ko
ab mirī dekh-bhāl kī hogī
ab ḳhalish kyā firāq kī us ke
ik ḳhalish māh-o-sāl kī hogī
kufr-o-īmāñ kahā gayā jis ko
baat vo ḳhadd-o-ḳhāl kī hogī
'jaun' dil ke ḳhutan meñ aayā hai
har ġhazal ik ġhazāl kī hogī
kab bhalā aa.egī javāb ko raas
jo bhī hālat savāl kī hogī
Top Urdushayar.com