Jaun Eliya

umr guzregi imtihan mein kya

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
umr guzregī imtihān meñ kyā
daaġh hī deñge mujh ko daan meñ kyā
merī har baat be-asar hī rahī
naqs hai kuchh mire bayān meñ kyā
mujh ko to koī Toktā bhī nahīñ
yahī hotā hai ḳhāndān meñ kyā
apnī mahrūmiyāñ chhupāte haiñ
ham ġharīboñ kī ān-bān meñ kyā
ḳhud ko jaanā judā zamāne se
aa gayā thā mire gumān meñ kyā
shaam hī se dukān-e-dīd hai band
nahīñ nuqsān tak dukān meñ kyā
ai mire sub.h-o-shām-e-dil kī shafaq
tū nahātī hai ab bhī baan meñ kyā
bolte kyuuñ nahīñ mire haq meñ
aable paḌ ga.e zabān meñ kyā
ḳhāmushī kah rahī hai kaan meñ kyā
aa rahā hai mire gumān meñ kyā
dil ki aate haiñ jis ko dhyān bahut
ḳhud bhī aatā hai apne dhyān meñ kyā
vo mile to ye pūchhnā hai mujhe
ab bhī huuñ maiñ tirī amaan meñ kyā
yuuñ jo taktā hai āsmān ko tū
koī rahtā hai āsmān meñ kyā
hai nasīm-e-bahār gard-ālūd
ḳhaak uḌtī hai us makān meñ kyā
ye mujhe chain kyuuñ nahīñ paḌtā
ek hī shaḳhs thā jahān meñ kyā
Top Urdushayar.com