Jaun Eliya

ai subah main ab kahan raha hun

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
ai subah maiñ ab kahāñ rahā huuñ
ḳhvāboñ hī meñ sarf ho chukā huuñ
sab mere baġhair mutma.in hoñ
maiñ sab ke baġhair jī rahā huuñ
kyā hai jo badal ga.ī hai duniyā
maiñ bhī to bahut badal gayā huuñ
go apne hazār naam rakh luuñ
par apne sivā maiñ aur kyā huuñ
maiñ jurm kā e'tirāf kar ke
kuchh aur hai jo chhupā gayā huuñ
maiñ aur faqat usī kī ḳhvāhish
aḳhlāq meñ jhuuT boltā huuñ
ik shaḳhs jo mujh se vaqt le kar
aaj aa na sakā to ḳhush huā huuñ
har shaḳhs se be-niyāz ho jā
phir sab se ye kah ki maiñ ḳhudā huuñ
charke to tujhe diye haiñ maiñ ne
par ḳhuun bhī maiñ hī thūktā huuñ
royā huuñ to apne dostoñ meñ
par tujh se to hañs ke hī milā huuñ
ai shaḳhs maiñ terī justujū se
bezār nahīñ huuñ thak gayā huuñ
maiñ sham-e-sahar kā naġhma-gar thā
ab thak ke karāhne lagā huuñ
kal par hī rakho vafā kī bāteñ
maiñ aaj bahut bojhā huā huuñ
koī bhī nahīñ hai mujh se nādim
bas tai ye huā ki maiñ burā huuñ
Top Urdushayar.com