Jaun Eliya

kaam mujhse koi hua hi nahin

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
kaam mujh se koī huā hī nahīñ
baat ye hai ki maiñ to thā hī nahīñ
mujh se bichhḌī jo mauj-e-nik.hat-e-yār
phir maiñ us shahr meñ rahā hī nahīñ
kis tarah tark-e-mudda.ā kiije
jab koī apnā mudda.ā hī nahīñ
kaun huuñ maiñ jo rā.egāñ hī gayā
kaun thā jo kabhī milā hī nahīñ
huuñ ajab aish-e-ġham kī hālat meñ
ab kisī se koī gila hī nahīñ
baat hai rāste pe jaane kī
aur jaane kā rāsta hī nahīñ
hai ḳhudā hī pe munhasir har baat
aur aafat ye hai ḳhudā hī nahīñ
dil kī duniyā kuchh aur hī hotī
kyā kaheñ apnā bas chalā hī nahīñ
ab to mushkil hai zindagī dil kī
ya.anī ab koī mājrā hī nahīñ
har taraf ek hashr barpā hai
'jaun' ḳhud se nikal ke jā hī nahīñ
mauj aatī thī Thaharne kī jahāñ
ab vahāñ ḳhema-e-sabā hī nahīñ
Top Urdushayar.com