Jaun Eliya

baat koi umid ki mujhse nahin kahi gai

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
baat koī umiid kī mujh se nahīñ kahī ga.ī
so mire ḳhvāb bhī ga.e so merī niiñd bhī ga.ī
dil kā thā ek mudda.ā jis ne tabāh kar diyā
dil meñ thī ek hī to baat vo jo faqat sahī ga.ī
jāniye kyā talāsh thī 'jaun' mire vajūd meñ
jis ko maiñ DhūñDhtā gayā jo mujhe DhūñDhtī ga.ī
ek ḳhushī kā haal hai ḳhush-suḳhanāñ ke darmiyāñ
izzat-e-shā.eqīn-e-ġham thī jo rahī-sahī ga.ī
būd-o-nabūd kī tamīz ek azaab thī ki thī
ya.anī tamām zindagī dhuñd meñ Dūbtī ga.ī
us ke jamāl kā thā din merā vajūd aur phir
sub.h se dhuup bhī ga.ī raat se chāñdnī ga.ī
jab maiñ thā shahr zaat kā thā mirā har-nafas azaab
phir maiñ vahāñ kā thā jahāñ hālat-e-zāt bhī ga.ī
gard-fashāñ huuñ dasht meñ sīna-zanāñ huuñ shahr meñ
thī jo sabā-e-samt-e-dil jaane kahāñ chalī ga.ī
tum ne bahut sharāb pī us kā sabhī ko dukh hai 'jaun'
aur jo dukh hai vo ye hai tum ko sharāb pī ga.ī
Top Urdushayar.com