kyā kaheñ tum se būd-o-bāsh apnī
kaam hī kyā vahī talāsh apnī
koī dam aisī zindagī bhī kareñ
apnā siina ho aur ḳharāsh apnī
apne hī tesha-e-nadāmat se
zaat hai ab to paash paash apnī
hai laboñ par nafas-zanī kī dukāñ
yāva-goī hai bas ma.āsh apnī
terī sūrat pe huuñ nisār pa ab
aur sūrat koī tarāsh apnī
jism o jaañ ko to bech hī Daalā
ab mujhe bechnī hai laash apnī