Jaun Eliya

hu ka aalam hai yahan nala-garon ke hote

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
hū kā aalam hai yahāñ nāla-garoñ ke hote
shahr ḳhāmosh hai shorīda-saroñ ke hote
kyuuñ shikasta hai tirā rañg matā-e-sad-rañg
aur phir apne hī ḳhūnīñ-jigroñ ke hote
kār-e-faryād-o-fuġhāñ kis liye mauqūf huā
tere kūche meñ tire bā-hunroñ ke hote
kiyā divānoñ ne tire coach hai bastī se kyā
varna sunsān hoñ rāheñ nigharoñ ke hote
juz sazā aur ho shāyad koī maqsūd un kā
jā ke zindāñ meñ jo rahte haiñ gharoñ ke hote
shahr kā kaam huā fart-e-hifāzat se tamām
aur chhalnī hue siine siparoñ ke hote
apne saudā-zadagāñ se ye kahā hai us ne
chal ke ab aa.iyo pairoñ pe saroñ ke hote
ab jo rishtoñ meñ bañdhā huuñ to khulā hai mujh par
kab parind uḌ nahīñ paate haiñ paroñ ke hote
Top Urdushayar.com