Jaun Eliya

iza-dahi ki dad jo pata raha hun main

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
īzā-dahī kī daad jo paatā rahā huuñ maiñ
har nāz-āfrīñ ko satātā rahā huuñ maiñ
ai ḳhush-ḳhirām paañv ke chhāle to gin zarā
tujh ko kahāñ kahāñ na phirātā rahā huuñ maiñ
ik husn-e-be-misāl kī tamsīl ke liye
parchhā.iyoñ pe rañg girātā rahā huuñ maiñ
kyā mil gayā zamīr-e-hunar bech kar mujhe
itnā ki sirf kaam chalātā rahā huuñ maiñ
rūhoñ ke parda-posh gunāhoñ se be-ḳhabar
jismoñ kī nekiyāñ hī ginātā rahā huuñ maiñ
tujh ko ḳhabar nahīñ ki tirā karb dekh kar
akasr tirā mazāq uḌātā rahā huuñ maiñ
shāyad mujhe kisī se mohabbat nahīñ huī
lekin yaqīn sab ko dilātā rahā huuñ maiñ
ik satr bhī kabhī na likhī maiñ ne tere naam
pāgal tujhī ko yaad bhī aatā rahā huuñ maiñ
jis din se e'timād meñ aayā tirā shabāb
us din se tujh pe zulm hī Dhātā rahā huuñ maiñ
apnā misāliya mujhe ab tak na mil sakā
zarroñ ko āftāb banātā rahā huuñ maiñ
bedār kar ke tere badan kī ḳhud-āgahī
tere badan kī umr ghaTātā rahā huuñ maiñ
kal dopahar ajiib sī ik be-dilī rahī
bas tīliyāñ jalā ke bujhātā rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com