samajh meñ zindagī aa.e kahāñ se
paḌhī hai ye ibārat darmiyāñ se
yahāñ jo hai tanaffus hī meñ gum hai
parinde uḌ rahe haiñ shāḳh-e-jāñ se
makān-o-lā-makāñ ke biich kyā hai
judā jis se makāñ hai lā-makāñ se
darīcha baaz hai yādoñ kā aur maiñ
havā suntā huuñ maiñ peḌoñ kī zabāñ se
thā ab tak ma.arka bāhar kā darpesh
abhī to ghar bhī jaanā hai yahāñ se
zamāna thā vo dil kī zindagī kā
tirī furqat ke din lā.ūñ kahāñ se
fulāñ se thī ġhazal behtar fulāñ kī
fulāñ ke zaḳhm achchhe the fulāñ se