phuul ne murjhāte murjhāte kahā āhista se
ho rahī hai mujh se ḳhushbū bhī judā āhista se
qurbateñ thiiñ phir bhī lagtā hai hamāre darmiyāñ
aa ke haa.el ho gayā ik fāsla āhista se
ik muamma hai chaman se us parinde kā safar
shaam ko jo āshiyāñ se uḌ gayā āhista se
rakh liyā ziddī anā ne phir mire sar kā vaqār
ūñchā neze kī anī par kar diyā āhista se
bahte bahte jab ravānī meñ kamī aa.ī 'shahāb'
ret par sar rakh ke dariyā so gayā āhista se