Jaun Eliya

kya ye aafat nahin azab nahin

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
kyā ye aafat nahīñ azaab nahīñ
dil kī hālat bahut ḳharāb nahīñ
buud pal pal kī be-hisābī hai
ki muhāsib nahīñ hisāb nahīñ
ḳhuub gaav bajāo aur piyo
in dinoñ shahr meñ janāb nahīñ
sab bhaTakte haiñ apnī galiyoñ meñ
tā-ba-ḳhud koī bāryāb nahīñ
tū hī merā savāl azal se hai
aur sājan tirā javāb nahīñ
hifz hai shams-e-bāzġha mujh ko
par mayassar vo māhtāb nahīñ
tujh ko dil-dard kā nahīñ ehsās
so mirī pinḌliyoñ ko daab nahīñ
nahīñ juḌtā ḳhayāl ko bhī ḳhayāl
ḳhvāb meñ bhī to koī ḳhvāb nahīñ
satar-e-mū us kī zer-e-nāf kī haa.e
jis kī chāqū-zanoñ ko taab nahīñ
Top Urdushayar.com