Jaun Eliya

jo guzar dushman hai us ka rahguzar rakkha hai nam

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
jo guzar dushman hai us kā rahguzar rakkhā hai naam
zaat se apnī na hilne kā safar rakkhā hai naam
paḌ gayā hai ik bhañvar us ko samajh baiThe haiñ ghar
lahr uThī hai lahr kā dīvār-o-dar rakkhā hai naam
naam jis kā bhī nikal jaa.e usī par hai madār
us kā honā yā na honā kyaa, magar rakkhā hai naam
ham yahāñ ḳhud aa.e haiñ laayā nahīñ koī hameñ
aur ḳhudā kā ham ne apne naam par rakkhā hai naam
chāk-e-chākī dekh kar pairāhan-e-pahnā.ī kī
maiñ ne apne har nafs kā baḳhiya-gar rakkhā hai naam
merā siina koī chhalnī bhī agar kar de to kyā
maiñ ne to ab apne siine kā sipar rakkhā hai naam
din hue par tū kahīñ honā kisī bhī shakl meñ
jaag kar ḳhvāboñ ne terā raat bhar rakkhā hai naam
Top Urdushayar.com