na huā nasīb qarār-e-jāñ havas-e-qarār bhī ab nahīñ
tirā intizār bahut kiyā tirā intizār bhī ab nahīñ
tujhe kyā ḳhabar mah-o-sāl ne hameñ kaise zaḳhm diye yahāñ
tirī yādgār thī ik ḳhalish tirī yādgār bhī ab nahīñ
na gile rahe na gumāñ rahe na guzārisheñ haiñ na guftugū
vo nishāt-e-vāda-e-vasl kyā hameñ e.atibār bhī ab nahīñ
rahe nām-e-rishta-e-raftgāñ na shikāyateñ haiñ na shoḳhiyāñ
koī uzr-ḳhvāh to ab kahāñ koī uzr-dār bhī ab nahīñ
kise nazr deñ dil-o-jāñ baham ki nahīñ vo kākul-e-ḳham-ba-ḳham
kise har-nafas kā hisāb deñ ki shamīm-e-yār bhī ab nahīñ
vo hujūm-e-dil-zadgāñ ki thā tujhe muzhda ho ki bikhar gayā
tire āstāne kī ḳhair ho sar-e-rah-e-ġhubār bhī ab nahīñ
vo jo apnī jaañ se guzar ga.e unheñ kyā ḳhabar hai ki shahr meñ
kisī jāñ-nisār kā zikr kyā koī sogvār bhī ab nahīñ
nahīñ ab to ahl-e-junūñ meñ bhī vo jo shauq-e-shahr meñ aam thā
vo jo rañg thā kabhī kū-ba-kū sar-e-kū-e-yār bhī ab nahīñ