bahut dil ko kushāda kar liyā kyā
zamāne bhar se va.ada kar liyā kyā
to kyā sach-much judā.ī mujh se kar lī
to ḳhud apne ko aadhā kar liyā kyā
hunar-mandī se apnī dil kā safha
mirī jaañ tum ne saada kar liyā kyā
jo yaksar jaan hai us ke badan se
kaho kuchh istifāda kar liyā kyā
bahut katrā rahe ho muġhbachoñ se
gunāh-e-tark-e-bāda kar liyā kyā
yahāñ ke log kab ke jā chuke haiñ
safar jāda-ba-jāda kar liyā kyā
uThāyā ik qadam tū ne na us tak
bahut apne ko māñda kar liyā kyā
tum apnī kaj-kulāhī haar baiThīñ
badan ko be-libāda kar liyā kyā
bahut nazdīk aatī jā rahī ho
bichhaḌne kā irāda kar liyā kyā