Jaun Eliya

zabt kar ke hansi ko bhul gaya

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
zabt kar ke hañsī ko bhuul gayā
maiñ to us zaḳhm hī ko bhuul gayā
zāt-dar-zāt ham-safar rah kar
ajnabī ajnabī ko bhuul gayā
sub.h tak vaj.h-e-jāñ-kanī thī jo baat
maiñ use shaam hī ko bhuul gayā
ahd-e-vābastagī guzār ke maiñ
vaj.h-e-vābastagī ko bhuul gayā
sab dalīleñ to mujh ko yaad rahīñ
bahs kyā thī usī ko bhuul gayā
kyuuñ na ho naaz is zehānat par
ek maiñ har kisī ko bhuul gayā
sab se pur-amn vāqi.a ye hai
aadmī aadmī ko bhuul gayā
qahqaha mārte hī dīvāna
har ġham-e-zindagī ko bhuul gayā
ḳhvāb-hā-ḳhvāb jis ko chāhā thā
rañg-hā-rañg usī ko bhuul gayā
kyā qayāmat huī agar ik shaḳhs
apnī ḳhush-qismatī ko bhuul gayā
soch kar us kī ḳhalvat-anjumanī
vaañ maiñ apnī kamī ko bhuul gayā
sab bure mujh ko yaad rahte haiñ
jo bhalā thā usī ko bhuul gayā
un se va.ada to kar liyā lekin
apnī kam-fursatī ko bhuul gayā
bastiyo ab to rāsta de do
ab to maiñ us galī ko bhuul gayā
us ne goyā mujhī ko yaad rakhā
maiñ bhī goyā usī ko bhuul gayā
ya.anī tum vo ho vāqa.ī? had hai
maiñ to sach-much sabhī ko bhuul gayā
āḳhirī but ḳhudā na kyuuñ Thahre
but-shikan but-garī ko bhuul gayā
ab to har baat yaad rahtī hai
ġhāliban maiñ kisī ko bhuul gayā
us kī ḳhushiyoñ se jalne vaalā 'jaun'
apnī īzā-dahī ko bhuul gayā
Top Urdushayar.com