Mustafa Shahab

kaise pata chalega agar samna na ho

Mustafa Shahab

kaise patā chalegā agar sāmnā na ho
maiñ jis ko chāhtā huuñ mujhe chāhtā na ho
shab ke safar meñ chāñd sitāre to saath haiñ
kuchh aur mehrbān falak ho to kyā na ho
bichhḌā vo mujh se aaise na bichhḌe kabhī koī
ab yuuñ milā hai jaise vo pahle milā na ho
piitā huuñ roz us kī nasīhat ke bāvajūd
mere gunāh kī kahīñ dohrī sazā na ho
rakhtā huuñ yaad is liye har fasl-e-gul 'shahāb'
din hoñ bure hazār magar dil burā na ho
Top Urdushayar.com