ajab ik taur hai jo ham sitam ījād rakheñ
ki na us shaḳhs ko bhūleñ na use yaad rakheñ
ahd is kūcha-e-dil se hai so us kūche meñ
hai koī apnī jagah ham jise barbād rakheñ
kyā kaheñ kitne hī nukte haiñ jo barte na ga.e
ḳhush-badan ishq kareñ aur hameñ ustād rakheñ
be-sutūñ ik navāhī meñ hai shahr-e-dil kī
tesha in.aam kareñ aur koī farhād rakheñ
āshiyāna koī apnā nahīñ par shauq ye hai
ik qafas laa.eñ kahīñ se koī sayyād rakheñ
ham ko anfās kī apne hai imārat karnī
is imārat kī laboñ par tire buniyād rakheñ