Jaun Eliya

ek guman ka haal hai aur faqat guman mein hai

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
ek gumāñ kā haal hai aur faqat gumāñ meñ hai
kis ne azāb-e-jāñ sahā kaun azāb-e-jāñ meñ hai
lamha-ba-lamha dam-ba-dam ān-ba-ān ram-ba-ram
maiñ bhī guzishtagāñ meñ huuñ tū bhī guzishtagāñ meñ hai
ādam-o-zāt-o-kibriyā karb meñ haiñ judā judā
kyā kahūñ un kā mājrā jo bhī hai imtihāñ meñ hai
shāḳh se uḌ gayā parind hai dil-e-shām-e-dard-mand
sahn meñ hai malāl sā huzn sā āsmāñ meñ hai
ḳhud meñ bhī be-amāñ huuñ maiñ tujh meñ bhī be-amāñ huuñ maiñ
kaun sahegā us kā ġham vo jo mirī amaañ meñ hai
kaisā hisāb kyā hisāb hālat-e-hāl hai azaab
zaḳhm nafas nafas meñ hai zahr zamāñ zamāñ meñ hai
us kā firāq bhī ziyāñ us kā visāl bhī ziyāñ
ek ajiib kashmakash halqa-e-be-dilāñ meñ hai
būd-o-nabūd kā hisāb maiñ nahīñ jāntā magar
saare vajūd kī nahīñ mere adam kī haañ meñ hai
Top Urdushayar.com