baḌā ehsān ham farmā rahe haiñ
ki un ke ḳhat unheñ lauTā rahe haiñ
nahīñ tark-e-mohabbat par vo raazī
qayāmat hai ki ham samjhā rahe haiñ
yaqīñ kā rāsta tai karne vaale
bahut tezī se vāpas aa rahe haiñ
ye mat bhūlo ki ye lamhāt ham ko
bichhaḌne ke liye milvā rahe haiñ
ta.ajjub hai ki ishq-o-āshiqī se
abhī kuchh log dhokā khā rahe haiñ
tumheñ chāheñge jab chhin jāogī tum
abhī ham tum ko arzāñ pā rahe haiñ
kisī sūrat unheñ nafrat ho ham se
ham apne aib ḳhud ginvā rahe haiñ
vo pāgal mast hai apnī vafā meñ
mirī āñkhoñ meñ aañsū aa rahe haiñ
dalīloñ se use qaa.il kiyā thā
dalīleñ de ke ab pachhtā rahe haiñ
tirī bāñhoñ se hijrat karne vaale
na.e māhaul meñ ghabrā rahe haiñ
ye jazb-e-ishq hai yā jazba-e-raham
tire aañsū mujhe rulvā rahe haiñ
ajab kuchh rabt hai tum se ki tum ko
ham apnā jaan kar Thukrā rahe haiñ
vafā kī yādgāreñ tak na hoñgī
mirī jaañ bas koī din jā rahe haiñ