Jaun Eliya

KHun thukegi zindagi kab tak

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
ḳhuun thūkegī zindagī kab tak
yaad aa.egī ab tirī kab tak
jaane vāloñ se pūchhnā ye sabā
rahe ābād dil-galī kab tak
ho kabhī to sharāb-e-vasl nasīb
piye jā.ūñ maiñ ḳhuun hī kab tak
dil ne jo umr-bhar kamā.ī hai
vo dukhan dil se jā.egī kab tak
jis meñ thā soz-e-ārzū us kā
shab-e-ġham vo havā chalī kab tak
banī-ādam kī zindagī hai azaab
ye ḳhudā ko rulā.egī kab tak
hādisa zindagī hai aadam kī
saath degī bhalā ḳhushī kab tak
hai jahannum jo yaad ab us kī
vo bahisht-e-vajūd thī kab tak
vo sabā us ke bin jo aa.ī thī
vo use pūchhtī rahī kab tak
mīr-'jaunī' zarā batā.eñ to
ḳhud meñ Thahreñge aap hī kab tak
hāl-e-sahn-e-vajūd Thahregā
terā hañgām-e-ruḳhsatī kab tak
Top Urdushayar.com