hijr kī āñkhoñ se āñkheñ to milāte jā.iye
hijr meñ karnā hai kyā ye to batāte jā.iye
ban ke ḳhushbū kī udāsī rahiye dil ke baaġh meñ
duur hote jā.iye nazdīk aate jā.iye
jaate jaate aap itnā kaam to kiije mirā
yaad kā saarā sar-o-sāmāñ jalāte jā.iye
rah ga.ī ummīd to barbād ho jā.ūñgā maiñ
jā.iye to phir mujhe sach-much bhulāte jā.iye
zindagī kī anjuman kā bas yahī dastūr hai
baḌh ke miliye aur mil kar duur jaate jā.iye
āḳhirash rishta to ham meñ ik ḳhushī ik ġham kā thā
muskurāte jā.iye aañsū bahāte jā.iye
vo galī hai ik sharābī chashm-e-kāfir kī galī
us galī meñ jā.iye to laḌkhaḌāte jā.iye
aap ko jab mujh se shikvā hī nahīñ koī to phir
aag hī dil meñ lagānī hai lagāte jā.iye
kuuch hai ḳhvāboñ se ta.abīroñ kī samtoñ meñ to phir
jā.iye par dam-ba-dam barbād jaate jā.iye
aap kā mehmān huuñ maiñ aap mere mezbān
so mujhe zahr-e-muravvat to pilāte jā.iye
hai sar-e-shab aur mire ghar meñ nahīñ koī charāġh
aag to is ghar meñ jānāna lagāte jā.iye