zabt kar ke hañsī ko bhuul gayā
maiñ to us zaḳhm hī ko bhuul gayā
zāt-dar-zāt ham-safar rah kar
ajnabī ajnabī ko bhuul gayā
sub.h tak vaj.h-e-jāñ-kanī thī jo baat
maiñ use shaam hī ko bhuul gayā
ahd-e-vābastagī guzār ke maiñ
vaj.h-e-vābastagī ko bhuul gayā
sab dalīleñ to mujh ko yaad rahīñ
bahs kyā thī usī ko bhuul gayā
kyuuñ na ho naaz is zehānat par
ek maiñ har kisī ko bhuul gayā
sab se pur-amn vāqi.a ye hai
aadmī aadmī ko bhuul gayā
qahqaha mārte hī dīvāna
har ġham-e-zindagī ko bhuul gayā
ḳhvāb-hā-ḳhvāb jis ko chāhā thā
rañg-hā-rañg usī ko bhuul gayā
kyā qayāmat huī agar ik shaḳhs
apnī ḳhush-qismatī ko bhuul gayā