Jaun Eliya

shahr-ba-shahr kar safar zad-e-safar liye baghair

Jaun Eliya

Amroha, Uttar pradesh, India

1931-2002
shahr-ba-shahr kar safar zād-e-safar liye baġhair
koī asar kiye baġhair koī asar liye baġhair
koh-o-kamar meñ ham-safīr kuchh nahīñ ab ba-juz havā
dekhiyo palaTiyo na aaj shahr se par liye baġhair
vaqt ke ma.arke meñ thiiñ mujh ko ri.āyateñ havas
maiñ sar-e-ma.arka gayā apnī sipar liye baġhair
kuchh bhī ho qatl-gāh meñ husn-e-badan kā hai zarar
ham na kahīñ se ā.eñge dosh pe sar liye baġhair
qarya-e-girya meñ mirā girya hunar-varāna hai
yaañ se kahīñ Talūñgā maiñ dād-e-hunar liye baġhair
us ke bhī kuchh gile haiñ dil un kā hisāb tum rakho
diid ne us meñ kī basar us kī ḳhabar liye baġhair
us kā suḳhan bhī jā se hai aur vo ye ki 'jaun' tum
shohra-e-shahar ho to kyā shahr meñ ghar liye baġhair
Top Urdushayar.com